lab-basta KHasta-haal pareshan hain bahut
lab-basta ḳhasta-hāl pareshān haiñ bahut
aise bhī tere shahr meñ insān haiñ bahut
har samt tere aane se gulzār the khile
tum jā chuke to rāste sunsān haiñ bahut
andhe safar pe chal paḌe manzil kahāñ mile
ham zindagī kī raah se anjān haiñ bahut
āñkheñ ba-vaqt-e-marg haiñ us shaḳhs kī khulī
shāyad ki dil meñ aaj bhī armān haiñ bahut
ham ne tumhārī zulf kī ḳhushbū hī kī talab
ye jaan kar ki zulf meñ pechān haiñ bahut
lab-basta KHasta-haal pareshan hain bahut
aise bhi tere shahr mein insan hain bahut
har samt tere aane se gulzar the khile
tum ja chuke to raste sunsan hain bahut
andhe safar pe chal paDe manzil kahan mile
hum zindagi ki rah se anjaan hain bahut
aankhen ba-waqt-e-marg hain us shaKHs ki khuli
shayad ki dil mein aaj bhi arman hain bahut
hum ne tumhaari zulf ki KHushbu hi ki talab
ye jaan kar ki zulf mein pechan hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.