lab chup hue to dida-e-tar bolne lage
lab chup hue to dīda-e-tar bolne lage
āñkhoñ ke ashk bār-e-digar bolne lage
ghabrā ke terā naam pukārā thā ek baar
dāman se shab ke nūr-e-sahar bolne lage
thā ba.ad-e-qatl saare ilāqe meñ ik sukūt
phir yuuñ huā ki zaḳhm-e-jigar bolne lage
logoñ ke dard chunñe meñ khoyā ho jab masīh
aise meñ ik salīb agar bolne lage
shah-surḳhiyoñ meñ zikr na aaya to ye huā
bastī ke saath kyā huā ghar bolne lage
Dhalke zarā naqāb sar-e-bazm ruḳh se jab
us par ThiThak ke sab kī nazar bolne lage
rangoñ kī kyā bisāt ki tasvīr ho sakeñ
'kausar' tumhāre dast-e-hunar bolne lage
lab chup hue to dida-e-tar bolne lage
aankhon ke ashk bar-e-digar bolne lage
ghabra ke tera nam pukara tha ek bar
daman se shab ke nur-e-sahar bolne lage
tha baad-e-qatl sare ilaqe mein ek sukut
phir yun hua ki zaKHm-e-jigar bolne lage
logon ke dard chunne mein khoya ho jab masih
aise mein ek salib agar bolne lage
shah-surKHiyon mein zikr na aaya to ye hua
basti ke sath kya hua ghar bolne lage
Dhalke zara naqab sar-e-bazm ruKH se jab
us par ThiThak ke sab ki nazar bolne lage
rangon ki kya bisat ki taswir ho saken
'kausar' tumhaare dast-e-hunar bolne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.