lab-e-dariya hun lekin tishnagi mahsus karta hun
lab-e-dariya hun lekin tishnagi mahsus karta hun
Afzal Husain Afzal
MORE BYAfzal Husain Afzal
lab-e-dariyā huuñ lekin tishnagī mahsūs kartā huuñ
maiñ apne ghar meñ ḳhud ko ajnabī mahsūs kartā huuñ
ḳhudā jaane vufūr-e-shauq kā ye kaisā aalam hai
nishāt-o-ġham meñ yaksāñ be-ḳhudī mahsūs kartā huuñ
kisī se be-takalluf guftugū hotī hai mahfil meñ
magar ḳhalvat meñ lafzoñ kī kamī mahsūs kartā huuñ
kabhī muḳhlis kabhī hāsid kabhī mai-kash kabhī zāhid
hama-sūrat maiñ ḳhud ko aadmī mahsūs kartā huuñ
tere afkār kī gahrā.iyoñ kā kaun hai munkir
magar 'afzal' maiñ terī shā.irī mahsūs kartā huuñ
lab-e-dariya hun lekin tishnagi mahsus karta hun
main apne ghar mein KHud ko ajnabi mahsus karta hun
KHuda jaane wufur-e-shauq ka ye kaisa aalam hai
nishat-o-gham mein yaksan be-KHudi mahsus karta hun
kisi se be-takalluf guftugu hoti hai mahfil mein
magar KHalwat mein lafzon ki kami mahsus karta hun
kabhi muKHlis kabhi hasid kabhi mai-kash kabhi zahid
hama-surat main KHud ko aadmi mahsus karta hun
tere afkar ki gahraiyon ka kaun hai munkir
magar 'afzal' main teri shairi mahsus karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.