lab-e-izhaar pe jab harf-e-gawahi aae
lab-e-iz.hār pe jab harf-e-gavāhī aa.e
āhanī haar liye dar pe sipāhī aa.e
vo kiran bhī to mire naam se mansūb karo
jis ke luTne se mire ghar meñ siyāhī aa.e
mere hī ahd meñ sūraj kī tamāzat jaage
barf kā shahr chaTaḳhne kī sadā hī aa.e
itnī pur-haul siyāhī kabhī dekhī to na thī
shab kī dahlīz pe jalne ko diyā hī aa.e
rah-rav-e-manzil-e-maqtal huuñ mire saath 'sabā'
jo bhī aa.e vo kafan oḌh ke raahī aa.e
lab-e-izhaar pe jab harf-e-gawahi aae
aahani haar liye dar pe sipahi aae
wo kiran bhi to mere nam se mansub karo
jis ke luTne se mere ghar mein siyahi aae
mere hi ahd mein suraj ki tamazat jage
barf ka shahr chaTaKHne ki sada hi aae
itni pur-haul siyahi kabhi dekhi to na thi
shab ki dahliz pe jalne ko diya hi aae
rah-raw-e-manzil-e-maqtal hun mere sath 'saba'
jo bhi aae wo kafan oDh ke rahi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.