lab-e-KHamosh se usne KHush-amdid kaha
lab-e-ḳhamosh se us ne ḳhush-āmdīd kahā
usī ko logoñ ne phir guft aur shunīd kahā
bahār-e-lāla-o-gul se ḳhizāñ kī aahaT tak
har ek vāqi.a mausam ne chashm-dīd kahā
junūñ meñ pahle to iqrār kar liyā us ne
junūñ kī baat ko phir aql se ba.iid kahā
hasīn tabsira mausam pe jab tamām huā
to us ne kaan meñ chupke se kuchh mazīd kahā
tirā ḳhayāl kiyā ham ne vasl se ta.abīr
tirī galī se guzarne ko bāzdīd kahā
na ham se pūchhā gayā zabt kā sabab koī
na ham ne dard ko apne kabhī shadīd kahā
mirī sarisht-e-'suḳhan' meñ haiñ kuchh na.e uslūb
na.ī ġhazal ne mujhe bhī ḳhush-āmdīd kahā
lab-e-KHamosh se us ne KHush-amdid kaha
usi ko logon ne phir guft aur shunid kaha
bahaar-e-lala-o-gul se KHizan ki aahaT tak
har ek waqia mausam ne chashm-did kaha
junun mein pahle to iqrar kar liya us ne
junun ki baat ko phir aql se baid kaha
hasin tabsira mausam pe jab tamam hua
to us ne kan mein chupke se kuchh mazid kaha
tera KHayal kiya hum ne wasl se tabir
teri gali se guzarne ko bazdid kaha
na hum se puchha gaya zabt ka sabab koi
na hum ne dard ko apne kabhi shadid kaha
meri sarisht-e-'suKHan' mein hain kuchh nae uslub
nai ghazal ne mujhe bhi KHush-amdid kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.