lab-e-nazuk hai nikal jae na inkar kahin
lab-e-nāzuk hai nikal jaa.e na inkār kahīñ
baat bose kī thī baḌh jaa.e na takrār kahīñ
aise mauqe se ki kuchh ham bhī satā leñ un ko
ham ko milte nahīñ māshūq-e-sitamgār kahīñ
rang laa.e na kahīñ pī ke nikalnā terā
tujh ko rusvā na kare shoḳhī-e-raftār kahīñ
haq-parastī bhī yahīñ bāda-parastī bhī yahīñ
mai-kada chhoḌ ke jaate nahīñ mai-ḳhvār kahīñ
bad-gumāñ ġhair na ho kījiye mujh par na itaab
be-chhue surḳh na ho jaa.eñ ye ruḳhsār kahīñ
aap kā ghar bhī na le ġhair ke ghar ke hamrāh
mujh ko nādim na kare āh-e-sharar-bār kahīñ
lāġharī merī mujhe aaj karegī mahjūb
un ke nāvak ko milegā na dil-e-zār kahīñ
mujh ko Dar hai ki raqīboñ ko na ho jaa.e ḳhabar
sun na le baat mirī aap kī dīvār kahīñ
dil-e-nākāra ko pheñk aa.e galī meñ us kī
na uThe daam jo us ke sar-e-bāzār kahīñ
saare duniyā ke hasīñ jāñch leñ shāyad 'gustāḳh'
koī qismat se nikal aa.e tarahdār kahīñ
lab-e-nazuk hai nikal jae na inkar kahin
baat bose ki thi baDh jae na takrar kahin
aise mauqe se ki kuchh hum bhi sata len un ko
hum ko milte nahin mashuq-e-sitamgar kahin
rang lae na kahin pi ke nikalna tera
tujh ko ruswa na kare shoKHi-e-raftar kahin
haq-parasti bhi yahin baada-parasti bhi yahin
mai-kada chhoD ke jate nahin mai-KHwar kahin
bad-guman ghair na ho kijiye mujh par na itab
be-chhue surKH na ho jaen ye ruKHsar kahin
aap ka ghar bhi na le ghair ke ghar ke hamrah
mujh ko nadim na kare aah-e-sharar-bar kahin
laghari meri mujhe aaj karegi mahjub
un ke nawak ko milega na dil-e-zar kahin
mujh ko Dar hai ki raqibon ko na ho jae KHabar
sun na le baat meri aap ki diwar kahin
dil-e-nakara ko phenk aae gali mein us ki
na uThe dam jo us ke sar-e-bazar kahin
sare duniya ke hasin jaanch len shayad 'gustaKH'
koi qismat se nikal aae tarahdar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.