lab hain KHamosh aankh tabassum-farosh hai
lab haiñ ḳhamosh aañkh tabassum-farosh hai
uf ye adā-e-nāz qayāmat-ba-dosh hai
har chashm bazm-e-nāz meñ hairat-farosh hai
vāraftagī meñ kis ko nazāre kā hosh hai
ai ḳhizr-e-shauq aa mire baazū ko thaam le
manzil hai duur raah meñ zulmat kā josh hai
kyoñ iltimās-e-shauq pashemāñ na ho mirā
husn-e-fareb-kār abhī tak ḳhamosh hai
rangīñ naqāb ruḳh se uThā ai jamāl-e-yār
phir merī aañkh zauq-e-tamāshā-ba-dosh hai
āshufta-hāl haiñ tire dīvāngān-e-shauq
dāman kī kuchh ḳhabar na garebāñ kā hosh hai
hai chashm-e-shauq nargis-e-pur-fan se ham-suḳhan
go maiñ idhar ḳhamosh udhar vo ḳhamosh hai
kyā pūchhte ho ab dil-e-hasrat-zada kā haal
vo soz-o-sāz hai na vo josh-o-ḳharosh hai
aise meñ ham se kyoñ na ho sarzad gunāh-e-shauq
bebāk phir vo nargis-e-sahbā-farosh hai
yaad aa.e ibtidā-e-mohabbat ke phir maze
phir iztirāb-e-shauq kā siine meñ josh hai
kyoñ nukta-āfrīñ na tirī tab.a ho 'valī'
'ġhālib' kī tarah ye bhī navā-e-sarosh hai
lab hain KHamosh aankh tabassum-farosh hai
uf ye ada-e-naz qayamat-ba-dosh hai
har chashm bazm-e-naz mein hairat-farosh hai
waraftagi mein kis ko nazare ka hosh hai
ai KHizr-e-shauq aa mere bazu ko tham le
manzil hai dur rah mein zulmat ka josh hai
kyon iltimas-e-shauq pasheman na ho mera
husn-e-fareb-kar abhi tak KHamosh hai
rangin naqab ruKH se uTha ai jamal-e-yar
phir meri aankh zauq-e-tamasha-ba-dosh hai
aashufta-haal hain tere diwangan-e-shauq
daman ki kuchh KHabar na gareban ka hosh hai
hai chashm-e-shauq nargis-e-pur-fan se ham-suKHan
go main idhar KHamosh udhar wo KHamosh hai
kya puchhte ho ab dil-e-hasrat-zada ka haal
wo soz-o-saz hai na wo josh-o-KHarosh hai
aise mein hum se kyon na ho sarzad gunah-e-shauq
bebak phir wo nargis-e-sahba-farosh hai
yaad aae ibtida-e-mohabbat ke phir maze
phir iztirab-e-shauq ka sine mein josh hai
kyon nukta-afrin na teri taba ho 'wali'
'ghaalib' ki tarah ye bhi nawa-e-sarosh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.