lab jo dekhe tishnagi taDpa gai
lab jo dekhe tishnagī taḌpā ga.ī
phir nigāh-e-nāz ham ko khā ga.ī
ham abhī āñkhoñ se lab tak aa.e the
baat itnī thī ki vo sharmā ga.ī
thā agar patthar kā merā dil to phir
terī qurbat kyuuñ use pighlā ga.ī
us ne āñkhoñ se dhamāka kar diyā
dil pe dahshat-gard laḌkī chhā ga.ī
thā abhī pahlī mohabbat kā ḳhumār
ek phir jām-e-shahādat pā ga.ī
dil ko na sar par chaḌhā.ūñgā maiñ ab
ye mohabbat ab samajh meñ aa ga.ī
lab jo dekhe tishnagi taDpa gai
phir nigah-e-naz hum ko kha gai
hum abhi aankhon se lab tak aae the
baat itni thi ki wo sharma gai
tha agar patthar ka mera dil to phir
teri qurbat kyun use pighla gai
us ne aankhon se dhamaka kar diya
dil pe dahshat-gard laDki chha gai
tha abhi pahli mohabbat ka KHumar
ek phir jam-e-shahadat pa gai
dil ko na sar par chaDhaunga main ab
ye mohabbat ab samajh mein aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.