lab ki larzish jabin pe rakh dena
lab kī larzish jabīñ pe rakh denā
saare shikve vahīñ pe rakh denā
iltijā dhaḌkanoñ kī sun lenā
bahkī sāñseñ yahīñ pe rakh denā
hai siyāhī jo tere ashkoñ kī
aañkh kī surmagīñ pe rakh denā
chāñd kitnā falak pe tanhā hai
us ko lā kar zamīñ pe rakh denā
itnī shiddat se kaun chāhegā
tum ye zimma hamīñ pe rakh denā
yaar ye ishq vaalī miTTī hai
merī mayyat yahīñ pe rakh denā
lab ki larzish jabin pe rakh dena
sare shikwe wahin pe rakh dena
iltija dhaDkanon ki sun lena
bahki sansen yahin pe rakh dena
hai siyahi jo tere ashkon ki
aankh ki surmagin pe rakh dena
chand kitna falak pe tanha hai
us ko la kar zamin pe rakh dena
itni shiddat se kaun chahega
tum ye zimma hamin pe rakh dena
yar ye ishq wali miTTi hai
meri mayyat yahin pe rakh dena
- Book : Word File Mail By Vijay sharma
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.