lab ki surKHi baDi nashili hai
lab kī surḳhī baḌī nashīlī hai
ham ne bhī be-hisāb pī lī hai
ab qadam dekh-bhāl kar rakhnā
'ishq kī ye zamīn giilī hai
rang meñ bhang ab na paḌ jaa.e
bosa lene kī Thaan bhī lī hai
ġhusse se chehra tamtamāyā hai
aañkh kī Dor laal piilī hai
kitnoñ ke ghar tabāh kar Daale
ye siyāsat bhī jaltī tiilī hai
lab ki surKHi baDi nashili hai
hum ne bhi be-hisab pi li hai
ab qadam dekh-bhaal kar rakhna
'ishq ki ye zamin gili hai
rang mein bhang ab na paD jae
bosa lene ki Than bhi li hai
ghusse se chehra tamtamaya hai
aankh ki Dor lal pili hai
kitnon ke ghar tabah kar Dale
ye siyasat bhi jalti tili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.