lab-kushai mein zamane se nahin Darna tha
lab-kushā.ī meñ zamāne se nahīñ Darnā thā
umr bhar ham ne kiyā kyā hameñ kyā karnā thā
surḳh-rū kār-e-jahāñ mahfil-e-dil be-raunaq
bhar diyā rañg kahāñ ham ne kahāñ bharnā thā
kis guzargāh se mānūs-e-qadam ho baiThe
us jagah ham ne to paañv hī nahīñ dharnā thā
band āñkhoñ se batā sakte haiñ vo ḳhvāb nagar
is jagah jhiil thī yaañ ham the vahāñ jharnā thā
vaqt lāzim hai magar ai dil-e-barbād tujhe
jism kī maut se pahle to nahīñ marnā thā
ġhairiyat aañkh meñ majbūri-e-hālāt se thī
dil meñ ehsās-e-shanāsā.ī hameñ varna thā
ġhair ne paañv jamāne the yahāñ kāvish se
ham ne ilzām bure vaqt ke sar dharnā thā
ḳhud se milnā thā abhī us se bichhaḌnā thā abhī
ham ko jiinā thā abhī ham ko abhī marnā thā
khā ga.ī barf bahut vaqt se pahle sabza
marġh-zāroñ meñ ġhazāloñ ko abhī charnā thā
lab-kushai mein zamane se nahin Darna tha
umr bhar hum ne kiya kya hamein kya karna tha
surKH-ru kar-e-jahan mahfil-e-dil be-raunaq
bhar diya rang kahan hum ne kahan bharna tha
kis guzargah se manus-e-qadam ho baiThe
us jagah hum ne to panw hi nahin dharna tha
band aankhon se bata sakte hain wo KHwab nagar
is jagah jhil thi yan hum the wahan jharna tha
waqt lazim hai magar ai dil-e-barbaad tujhe
jism ki maut se pahle to nahin marna tha
ghairiyat aankh mein majburi-e-haalat se thi
dil mein ehsas-e-shanasai hamein warna tha
ghair ne panw jamane the yahan kawish se
hum ne ilzam bure waqt ke sar dharna tha
KHud se milna tha abhi us se bichhaDna tha abhi
hum ko jina tha abhi hum ko abhi marna tha
kha gai barf bahut waqt se pahle sabza
margh-zaron mein ghazalon ko abhi charna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.