lab na apne kabhi aaluda-e-fariyaad rahe
lab na apne kabhī ālūda-e-fariyād rahe
ham hujūm-e-ġham-o-ālām meñ bhī shaad rahe
kār-e-ta.amīr-e-nasheman na ruke jur.at-e-shauq
bāġhbāñ laakh take ghaat meñ sayyād rahe
zulf-e-hastī ko bahar-rang sañvārā ham ne
ye alag baat ki ham ḳhasta-o-barbād rahe
dil ko taḌpātī hai biite hue lamhāt kī yaad
kaash aisā ho ke ab kuchh na mujhe yaad rahe
vus.atoñ meñ tirī bhūlā huuñ maiñ tanhā.ī ko
dasht-e-vahshat mire duniyā tirī ābād rahe
kis qadar ḳhuun huā nazr-e-bahār-e-gulshan
ham-safīro ye chaman kaash ab ābād rahe
ranj-o-ġham kī na kaḌī dhuup kabhī un pe paḌī
chhāñv meñ jo tirī zulfoñ kī rahe shaad rahe
apne is fidvī-e-gulshan ko bhī jab aa.e bahār
yaad kar lenā chaman vaalo agar yaad rahe
sab havādis rah-e-manzil ke guzar leñ mujh par
kārvāñ ke liye baaqī na kuchh uftād rahe
qissa-e-dard maiñ kis dil se sunā.ūñ 'qāsid'
sun ke ahvāl mirā kyoñ koī nāshād rahe
lab na apne kabhi aaluda-e-fariyaad rahe
hum hujum-e-gham-o-alam mein bhi shad rahe
kar-e-tamir-e-nasheman na ruke jurat-e-shauq
baghban lakh take ghat mein sayyaad rahe
zulf-e-hasti ko bahar-rang sanwara hum ne
ye alag baat ki hum KHasta-o-barbaad rahe
dil ko taDpati hai bite hue lamhat ki yaad
kash aisa ho ke ab kuchh na mujhe yaad rahe
wusaton mein teri bhula hun main tanhai ko
dasht-e-wahshat mere duniya teri aabaad rahe
kis qadar KHun hua nazr-e-bahaar-e-gulshan
ham-safiro ye chaman kash ab aabaad rahe
ranj-o-gham ki na kaDi dhup kabhi un pe paDi
chhanw mein jo teri zulfon ki rahe shad rahe
apne is fidwi-e-gulshan ko bhi jab aae bahaar
yaad kar lena chaman walo agar yaad rahe
sab hawadis rah-e-manzil ke guzar len mujh par
karwan ke liye baqi na kuchh uftad rahe
qissa-e-dard main kis dil se sunaun 'qasid'
sun ke ahwal mera kyon koi nashad rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.