lab par dil ki baat na aai
Interesting Fact
Madras 1953
lab par dil kī baat na aa.ī
vāpas biitī raat na aa.ī
ḳhushk huiiñ ro ro kar āñkheñ
madh-mātī barsāt na aa.ī
merī shab kī tārīkī meñ
tāroñ kī sauġhāt na aa.ī
mai-ḳhāne kī mast fazā meñ
raas mujhe haihāt na aa.ī
dil to umDā ro nā sakā maiñ
chhā.ī ghaTā barsāt na aa.ī
merā chāñd nikalne ko thā
shaam se pahle raat na aa.ī
jis par mahfil luT jaatī hai
tujh ko 'ziyā' vo baat na aa.ī
lab par dil ki baat na aai
wapas biti raat na aai
KHushk huin ro ro kar aankhen
madh-mati barsat na aai
meri shab ki tariki mein
taron ki saughat na aai
mai-KHane ki mast faza mein
ras mujhe haihat na aai
dil to umDa ro na saka main
chhai ghaTa barsat na aai
mera chand nikalne ko tha
sham se pahle raat na aai
jis par mahfil luT jati hai
tujh ko 'ziya' wo baat na aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.