lab par machalte lafzon ko chakh kar na dekh le
lab par machalte lafzoñ ko chakh kar na dekh le
vo peḌ niim kā mire andar na dekh le
dil ḳhvāhishoñ ke kūche meñ niklā to hai magar
vo tifl-e-dard phir kahīñ patthar na dekh le
raste ka.ī badal ke maiñ lauTā huuñ shahr se
Dar thā ki vo aziiz kahīñ ghar na dekh le
barham bahut hai aaj vo har ek shaḳhs se
apnā hī aa.ine meñ vo paikar na dekh le
būñdeñ lahū kī sūñghtī billī vo dard kī
dil kā lahūluhān kabūtar na dekh le
haiñ paudā lājvantī kā ḳhvāboñ kī mūrateñ
'ikrām' vaqt haath lagā kar na dekh le
lab par machalte lafzon ko chakh kar na dekh le
wo peD nim ka mere andar na dekh le
dil KHwahishon ke kuche mein nikla to hai magar
wo tifl-e-dard phir kahin patthar na dekh le
raste kai badal ke main lauTa hun shahr se
Dar tha ki wo aziz kahin ghar na dekh le
barham bahut hai aaj wo har ek shaKHs se
apna hi aaine mein wo paikar na dekh le
bunden lahu ki sunghti billi wo dard ki
dil ka lahuluhan kabutar na dekh le
hain pauda lajwanti ka KHwabon ki muraten
'ikram' waqt hath laga kar na dekh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.