lab par na shikwa-e-gham-e-ayyam aaega
lab par na shikva-e-ġham-e-ayyām aa.egā
jab aa.egā zabāñ pe tirā naam aa.egā
jin kā ḳhayāl unheñ sahar-o-shām aa.egā
maiñ jāntā huuñ un meñ merā naam aa.egā
us zulf-e-mushkbū kā jinheñ mas nasīb hai
dil ko unhīñ fazāoñ meñ ārām aa.egā
bādal bhī qurmuzī haiñ sharābeñ bhī qurmuzī
ab bhī agar na pī to phir ilzām aa.egā
ḳhurshīd ko tulūa meñ kyoñ der ho ga.ī
kyā āḳhir-e-shab aur bhī ik jaam aa.egā
mujh ko yaqīñ hai gardish-e-sāġhar ke bāvajūd
aksar ḳhayāl-e-gardish-e-ayyām aa.egā
'fitrat' ko hai siyāsat-e-pīr-e-muġhāñ se kaam
sarshār ho chukūñgā to phir jaam āye.gā
lab par na shikwa-e-gham-e-ayyam aaega
jab aaega zaban pe tera nam aaega
jin ka KHayal unhen sahar-o-sham aaega
main jaanta hun un mein mera nam aaega
us zulf-e-mushkbu ka jinhen mas nasib hai
dil ko unhin fazaon mein aaram aaega
baadal bhi qurmuzi hain sharaben bhi qurmuzi
ab bhi agar na pi to phir ilzam aaega
KHurshid ko tulua mein kyon der ho gai
kya aaKHir-e-shab aur bhi ek jam aaega
mujh ko yaqin hai gardish-e-saghar ke bawajud
aksar KHayal-e-gardish-e-ayyam aaega
'fitrat' ko hai siyasat-e-pir-e-mughan se kaam
sarshaar ho chukunga to phir jam aayega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.