lab pe aaya hi na tha harf-e-tamanna koi
lab pe aayā hī na thā harf-e-tamannā koī
ab ke kartā bhī to kyā kartā mudāvā koī
zindagī tere taġhayyur kī taraf dhyān gayā
jab havāoñ meñ uchhālā gayā sikka koī
chāragar koī na hamdard na muḳhlis na rafīq
shahr-e-be-mehr meñ kis vāste aayā koī
gardish-e-vaqt ko samjhā.e bhalā kaun ye baat
roz chaukhaT pe take hai mirā rasta koī
aa.ine ḳhud chale aate haiñ muqābil mere
shaan meñ paḌhtā hai jab mere qasīda koī
daulat-e-ijz na.ī rut meñ na DhūñDo ki yahāñ
yā to bantā hai yā kartā hai tamāshā koī
ab ke 'āfāq' mirī āñkhoñ meñ aañsū bhī na the
garm miTTī pe taḌaptā rahā pyāsā koī
lab pe aaya hi na tha harf-e-tamanna koi
ab ke karta bhi to kya karta mudawa koi
zindagi tere taghayyur ki taraf dhyan gaya
jab hawaon mein uchhaala gaya sikka koi
chaaragar koi na hamdard na muKHlis na rafiq
shahr-e-be-mehr mein kis waste aaya koi
gardish-e-waqt ko samjhae bhala kaun ye baat
roz chaukhaT pe take hai mera rasta koi
aaine KHud chale aate hain muqabil mere
shan mein paDhta hai jab mere qasida koi
daulat-e-ijz nai rut mein na DhunDo ki yahan
ya to banta hai ya karta hai tamasha koi
ab ke 'afaq' meri aankhon mein aansu bhi na the
garm miTTi pe taDapta raha pyasa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.