lab pe jab aap ka hi nam aae
lab pe jab aap kā hī naam aa.e
dil meñ phir kyoñ ḳhayāl-e-ḳhām aa.e
tum bhī kuchh der ke liye aanā
jab mirī zindagī kī shaam aa.e
aa.e vo aur mujhe ḳhabar na huī
'ishq meñ aise bhī maqām aa.e
koī mahfil meñ tishna-lab na rahe
kaash aisā bhī daur-e-jām aa.e
aa.e vo daur-e-ādmiyyat bhī
aadmī aadmī ke kaam aa.e
lab pe jab aap ka hi nam aae
dil mein phir kyon KHayal-e-KHam aae
tum bhi kuchh der ke liye aana
jab meri zindagi ki sham aae
aae wo aur mujhe KHabar na hui
'ishq mein aise bhi maqam aae
koi mahfil mein tishna-lab na rahe
kash aisa bhi daur-e-jam aae
aae wo daur-e-admiyyat bhi
aadmi aadmi ke kaam aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.