Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab pe jhuTe tarane hote hain

Figar Unnavi

lab pe jhuTe tarane hote hain

Figar Unnavi

MORE BYFigar Unnavi

    lab pe jhūTe tarāne hote haiñ

    kyā kareñ ġham chhupāne hote haiñ

    vo bhī kaise zamāne hote haiñ

    jab qafas āshiyāne hote haiñ

    yuuñ aatī nahīñ ḳhushī bahār

    saikḌoñ ġham uThāne hote haiñ

    zindagī kuchh e'tibār nahīñ

    maut ke sau bahāne hote haiñ

    is tarah baiThtā nahīñ chhup kar

    jis ko jalve dikhāne hote haiñ

    lab pe jhuTe tarane hote hain

    kya karen gham chhupane hote hain

    wo bhi kaise zamane hote hain

    jab qafas aashiyane hote hain

    yun hi aati nahin KHushi ki bahaar

    saikDon gham uThane hote hain

    zindagi ka kuchh e'tibar nahin

    maut ke sau bahane hote hain

    is tarah baiThta nahin chhup kar

    jis ko jalwe dikhane hote hain

    Source :
    • Book : Harf-o-nava (Pg. 127)
    • Author : umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
    • Publication : Figaar Unnavi (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now