lab pe kuchh hai aur hi kuchh dil mein hai
lab pe kuchh hai aur hī kuchh dil meñ hai
kyā irāda dekhiye qātil meñ hai
misl-e-mūsā dekh kar ġhash khāoge
vo tajallī mere koh-e-dil meñ hai
merī chashm-e-tar pe mat jaao abhī
aag aisī ashk kī jhilmil meñ hai
pūchhiye mat us ke baare meñ savāl
jo mirā hāsil na kuchh shāmil meñ hai
kar sake mahsūs jo dard-e-'shafīq'
kaun aisā ham-navā mahfil meñ hai
lab pe kuchh hai aur hi kuchh dil mein hai
kya irada dekhiye qatil mein hai
misl-e-musa dekh kar ghash khaoge
wo tajalli mere koh-e-dil mein hai
meri chashm-e-tar pe mat jao abhi
aag aisi ashk ki jhilmil mein hai
puchhiye mat us ke bare mein sawal
jo mera hasil na kuchh shamil mein hai
kar sake mahsus jo dard-e-'shafiq'
kaun aisa ham-nawa mahfil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.