lab pe kuchh tha guman mein kuchh tha
lab pe kuchh thā gumān meñ kuchh thā
sāmne kuchh thā dhyān meñ kuchh thā
maiñ taḌaptā thā us kī yādoñ meñ
log kahte makān meñ kuchh thā
āstīnoñ meñ saañp the lekin
us kī mīThī zabān meñ kuchh thā
us ke sāmān meñ nahīñ thā kuchh
haañ magar us kī shaan meñ kuchh thā
aañkh se ho ga.ī thī vo ojhal
shor pāyal kā kaan meñ kuchh thā
lab pe kuchh tha guman mein kuchh tha
samne kuchh tha dhyan mein kuchh tha
main taDapta tha us ki yaadon mein
log kahte makan mein kuchh tha
aastinon mein sanp the lekin
us ki miThi zaban mein kuchh tha
us ke saman mein nahin tha kuchh
han magar us ki shan mein kuchh tha
aankh se ho gai thi wo ojhal
shor payal ka kan mein kuchh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.