lab pe nam aa gaya saudai ka
lab pe naam aa gayā saudā.ī kā
shukriya hausla-afzā.ī kā
ġhuncha-o-gul meñ mah-o-anjum meñ
jalva dekhā tirī ra.anā.ī kā
be-niyāzī huī zāhir terī
naam raushan huā shaidā.ī kā
jo diyā had se fuzūñ tū ne diyā
haq adā kar diyā āqā.ī kā
ai junūñ ḳhār-e-muġhīlāñ meñ hī
lutf hai bādiya-paimā.ī kā
terī rusvā.ī na ho duniyā meñ
mujh ko ḳhadsha nahīñ rusvā.ī kā
merā har sher 'razā' un ke liye
aa.ina anjuman-ārā.ī kā
lab pe nam aa gaya saudai ka
shukriya hausla-afzai ka
ghuncha-o-gul mein mah-o-anjum mein
jalwa dekha teri ranai ka
be-niyazi hui zahir teri
nam raushan hua shaidai ka
jo diya had se fuzun tu ne diya
haq ada kar diya aaqai ka
ai junun KHar-e-mughilan mein hi
lutf hai baadiya-paimai ka
teri ruswai na ho duniya mein
mujh ko KHadsha nahin ruswai ka
mera har sher 'raza' un ke liye
aaina anjuman-arai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.