lab pe surKHi ki jagah jo muskurahaT mal rahe hain
lab pe surKHi ki jagah jo muskurahaT mal rahe hain
Ghulam Mohammad Qasir
MORE BYGhulam Mohammad Qasir
lab pe surḳhī kī jagah jo muskurāhaT mal rahe haiñ
hasratoñ kā bojh shānoñ par uThā kar chal rahe haiñ
zindagī kī dauḌ meñ pīchhe na rah jaa.eñ kisī se
ḳhauf-o-ḳhvāhish ke ye paikar niind meñ bhī chal rahe haiñ
dil meñ ḳhema-zan añdhero kitnī jaldī meñ hai sūraj
jism tak jaage nahīñ haiñ aur saa.e Dhal rahe haiñ
mere qisse meñ achānak jugnuoñ kā zikr aayā
āsmāñ par mere hisse ke sitāre jal rahe haiñ
raakh hote jā rahe haiñ māh-o-sāl-e-zindagānī
jagmagā uThThā jahāñ ham saath pal do pal rahe haiñ
mā.il-e-sajda ġhulāmī bhuul jā ḳhū-e-salāmī
aaj vo bādal kahāñ sāya-fagan jo kal rahe haiñ
lab pe surKHi ki jagah jo muskurahaT mal rahe hain
hasraton ka bojh shanon par uTha kar chal rahe hain
zindagi ki dauD mein pichhe na rah jaen kisi se
KHauf-o-KHwahish ke ye paikar nind mein bhi chal rahe hain
dil mein KHema-zan andhero kitni jaldi mein hai suraj
jism tak jage nahin hain aur sae Dhal rahe hain
mere qisse mein achanak jugnuon ka zikr aaya
aasman par mere hisse ke sitare jal rahe hain
rakh hote ja rahe hain mah-o-sal-e-zindagani
jagmaga uThTha jahan hum sath pal do pal rahe hain
mail-e-sajda ghulami bhul ja KHu-e-salami
aaj wo baadal kahan saya-fagan jo kal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.