lab pe tauhid to dil mein liye but-KHana phirun
lab pe tauhīd to dil meñ liye but-ḳhāna phirūñ
sab ke hamrāh chalūñ sab se judāgāna phirūñ
ajnabī shahr se yuuñ guzrūñ ki jaise ghar se
apne hī ghar meñ chalī aa.uuñ to begāna phirūñ
bhaTkī rūhoñ kī tarah ḳhaak se tā-haft-aflāk
dā.era dā.era afsāna-dar-afsāna phirūñ
safar-e-shauq kī ik samt muayyan bhī to ho
kab talak vaqt ke bāzār meñ tiflāna phirūñ
nazar aaya na ḳhizāñ se koī uktāyā huā
maiñ to hāthoñ meñ liye phuul kā nazrāna phirūñ
mustahiq pā.ūñ to ye farz adā ho jaa.e
apne māthe meñ liye sajda-e-shukrāna phirūñ
lab pe tauhid to dil mein liye but-KHana phirun
sab ke hamrah chalun sab se judagana phirun
ajnabi shahr se yun guzrun ki jaise ghar se
apne hi ghar mein chali aaun to begana phirun
bhaTki ruhon ki tarah KHak se ta-haft-aflak
daera daera afsana-dar-afsana phirun
safar-e-shauq ki ek samt muayyan bhi to ho
kab talak waqt ke bazar mein tiflana phirun
nazar aaya na KHizan se koi uktaya hua
main to hathon mein liye phul ka nazrana phirun
mustahiq paun to ye farz ada ho jae
apne mathe mein liye sajda-e-shukrana phirun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.