lab saza ban chuke hain giraftar hun
lab sazā ban chuke haiñ giraftār huuñ
maiñ tujhe chūmne kā gunahgār huuñ
kyā ye qasmeñ bhī khānī paḌeñgī mujhe
kyā ye kaafī nahīñ hai ki maiñ yaar huuñ
chandrmā ko grahan lag gayā thā faqat
mujh ko lagtā thā maiñ us kā sansār huuñ
Thiik hone kā nāTak kahāñ tak kareñ
chārāgar ko ḳhabar hai ke bīmār huuñ
intihā kā rahā umr-bhar shauq 'anant'
chauñknā kyā ab is meñ ki lāchār huuñ
lab saza ban chuke hain giraftar hun
main tujhe chumne ka gunahgar hun
kya ye qasmen bhi khani paDengi mujhe
kya ye kafi nahin hai ki main yar hun
chandrma ko grahan lag gaya tha faqat
mujh ko lagta tha main us ka sansar hun
Thik hone ka naTak kahan tak karen
chaaragar ko KHabar hai ke bimar hun
intiha ka raha umr-bhar shauq 'anant'
chaunkna kya ab is mein ki lachaar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.