lab siye dekha karun socha karun
lab siye dekhā karūñ sochā karūñ
mere bas meñ kuchh nahīñ maiñ kyā karūñ
raah meñ hai dard kā koh-e-girāñ
kohkan bhī maiñ nahīñ maiñ kyā karūñ
shahr ke shor-o-shaġhab se bhaag kar
koī kunj-e-āfiyat DhūñDā karūñ
gunjlak maggham sadāoñ kī tarah
gumbad-e-tanhā.ī meñ gūñjā karūñ
aur in mub.ham sadāoñ kā agar
koī matlab ho to vo likkhā karūñ
aur jab apnī samajh meñ kuchh na aa.e
chīḳh uTThūñ kyā karūñ maiñ kyā karūñ
shahr kī vīrāniyoñ par nauhagar
ruuh ban kar rāt-bhar bhaTkā karūñ
lab siye dekha karun socha karun
mere bas mein kuchh nahin main kya karun
rah mein hai dard ka koh-e-giran
kohkan bhi main nahin main kya karun
shahr ke shor-o-shaghab se bhag kar
koi kunj-e-afiyat DhunDa karun
gunjlak maggham sadaon ki tarah
gumbad-e-tanhai mein gunja karun
aur in mubham sadaon ka agar
koi matlab ho to wo likkha karun
aur jab apni samajh mein kuchh na aae
chiKH uTThun kya karun main kya karun
shahr ki viraniyon par nauhagar
ruh ban kar raat-bhar bhaTka karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.