labaalab dukh se tha qissa hamara
labālab dukh se thā qissa hamārā
magar chhalkā nahīñ dariyā hamārā
asar us par to kab honā thā lekin
tamāshā ban gayā ronā hamārā
magar aane se pahle soch lo tum
bahut vīrān hai rasta hamārā
ajab taptī huī miTTī hai apnī
ubaltā rahtā hai dariyā hamārā
tumhāre haq meñ bhī achchhā nahīñ hai
tumhāre ġham meñ yuuñ jiinā hamārā
usī ko dukh kā andāza thā apne
vahī tanhā sahārā thā hamārā
labaalab dukh se tha qissa hamara
magar chhalka nahin dariya hamara
asar us par to kab hona tha lekin
tamasha ban gaya rona hamara
magar aane se pahle soch lo tum
bahut viran hai rasta hamara
ajab tapti hui miTTi hai apni
ubalta rahta hai dariya hamara
tumhaare haq mein bhi achchha nahin hai
tumhaare gham mein yun jina hamara
usi ko dukh ka andaza tha apne
wahi tanha sahaara tha hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.