Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

labon par sher aane mein kahan ab der lagti hai

Shokh Ji

labon par sher aane mein kahan ab der lagti hai

Shokh Ji

MORE BYShokh Ji

    laboñ par sher aane meñ kahāñ ab der lagtī hai

    ġhazal koī sunāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    faqat āñkheñ milāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    mohabbat ko baḌhāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    zabāñ se baat niklī ho vo puurī ho na ho sāhab

    qasam yūñhī uThāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    rivāyat ho ga.ī ab to mohabbat karne hone meñ

    kisī dil dukhāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    ye tanhā.ī udāsī ab mirā ma.amūl hai yaaro

    do-chār aañsū bahāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    nihāñ bāteñ hoñ jitnī bhī faqat pakkā irāda ho

    haqīqat ko dikhāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    zarā aag bhaḌkā kar jalā do ḳhud ko phir us meñ

    sabhī sapne jalāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    jahāñ jaanā ho nā-mumkin magar ab 'shoḳh' ham ko

    vahāñ par āne-jāne meñ kahāñ ab der lagtī hai

    labon par sher aane mein kahan ab der lagti hai

    ghazal koi sunane mein kahan ab der lagti hai

    faqat aankhen milane mein kahan ab der lagti hai

    mohabbat ko baDhane mein kahan ab der lagti hai

    zaban se baat nikli ho wo puri ho na ho sahab

    qasam yunhi uThane mein kahan ab der lagti hai

    riwayat ho gai ab to mohabbat karne hone mein

    kisi ka dil dukhane mein kahan ab der lagti hai

    ye tanhai udasi ab mera mamul hai yaro

    do-chaar aansu bahane mein kahan ab der lagti hai

    nihan baaten hon jitni bhi faqat pakka irada ho

    haqiqat ko dikhane mein kahan ab der lagti hai

    zara si aag bhaDka kar jala do KHud ko phir us mein

    sabhi sapne jalane mein kahan ab der lagti hai

    jahan jaana ho na-mumkin magar ab 'shoKH' ji hum ko

    wahan par aane-jaane mein kahan ab der lagti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now