labon pe aah to aankhon se ashk-bari hai
laboñ pe aah to āñkhoñ se ashk-bārī hai
jo sach kahūñ to tirā ishq ishtihārī hai
go āftāb se bichhḌe use zamāna huā
zamīñ kā ab bhī musalsal tavāf jaarī hai
batā gayā yahī āñkhoñ meñ Duub kar sūraj
shab-e-firāq bahut aaj tujh pe bhārī hai
zabāñ ḳhamosh magar chīḳhte haiñ ḳhāl-o-ḳhad
ye kaisā sabr hai ye kaisī burd-bārī hai
tamām umr hī be-samtiyāñ rahīñ haa.il
abhī bhī mujh meñ musalsal safar ye jaarī hai
dhuāñ dhuāñ hai nazar gard gard hai manzar
darūn-e-ḳhāna koī mujh meñ jang jaarī hai
tumhārī sard-ravī se hī munjamid hai lahū
ye sirf kahne ko mausam kī barf-bārī hai
lahū se sīñch rahī huuñ maiñ 'tārā' barg-e-suḳhan
na ye samajhnā ki ashkoñ kī ābiyārī hai
labon pe aah to aankhon se ashk-bari hai
jo sach kahun to tera ishq ishtihaari hai
go aaftab se bichhDe use zamana hua
zamin ka ab bhi musalsal tawaf jari hai
bata gaya yahi aankhon mein Dub kar suraj
shab-e-firaq bahut aaj tujh pe bhaari hai
zaban KHamosh magar chiKHte hain KHal-o-KHad
ye kaisa sabr hai ye kaisi burd-bari hai
tamam umr hi be-samtiyan rahin hail
abhi bhi mujh mein musalsal safar ye jari hai
dhuan dhuan hai nazar gard gard hai manzar
darun-e-KHana koi mujh mein jang jari hai
tumhaari sard-rawi se hi munjamid hai lahu
ye sirf kahne ko mausam ki barf-bari hai
lahu se sinch rahi hun main 'tara' barg-e-suKHan
na ye samajhna ki ashkon ki aabiyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.