labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala
labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala
A.R Sahil 'Aleeg'
MORE BYA.R Sahil 'Aleeg'
laboñ pe muskān dil meñ dahshat ajiib ḳhilqat mirī ġhazāla
ḳhatā pe apne nahīñ kare hai kabhī nadāmat mirī ġhazāla
so jaisā chāhā banāyā rab ne badan kā ḳhāka ye us kī marzī
har ek Dhab meñ haiñ apne apne kasāo kasrat mirī ġhazāla
qarār de de mujhe tū kāfir na chhūT pā.egī ye ibādat
rahegī qadmoñ meñ sirf tere ye merī jannat mirī ġhazāla
nahīñ hai mumkin ki kaT sake ye ḳhudā kā likkhā ye sochtā huuñ
vo mil kahe mujh se kuchh to merī badal de qismat mirī ġhazāla
anā se māñgūñ jahāñ se māñgūñ maiñ tujh ko kis kis ḳhudā se māñgūñ
banī hai mere hī jān-o-jī kī tū saḳht aafat mirī ġhazāla
maiñ chāhtā huuñ banā le 'sāhil' mujhe tū apnī hī zindagī kā
nahīñ hai mujh ko zamāne-bhar se koī bhī hājat mirī ġhazāla
labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala
KHata pe apne nahin kare hai kabhi nadamat meri ghazala
so jaisa chaha banaya rab ne badan ka KHaka ye us ki marzi
har ek Dhab mein hain apne apne kasao kasrat meri ghazala
qarar de de mujhe tu kafir na chhuT paegi ye ibaadat
rahegi qadmon mein sirf tere ye meri jannat meri ghazala
nahin hai mumkin ki kaT sake ye KHuda ka likkha ye sochta hun
wo mil kahe mujh se kuchh to meri badal de qismat meri ghazala
ana se mangun jahan se mangun main tujh ko kis kis KHuda se mangun
bani hai mere hi jaan-o-ji ki tu saKHt aafat meri ghazala
main chahta hun bana le 'sahil' mujhe tu apni hi zindagi ka
nahin hai mujh ko zamane-bhar se koi bhi hajat meri ghazala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.