labon se aankh se ruKHsar se kya kya nahin karta
laboñ se aañkh se ruḳhsār se kyā kyā nahīñ kartā
vo jaadū kaun sā hai jo ki vo chehra nahīñ kartā
maiñ saare kāġhazoñ pe ek misra likh ke rakkhūñgā
vo jab tak aa ke mere sher ko puurā nahīñ kartā
fasādoñ meñ jo shāmil haiñ vo mohre haiñ siyāsat ke
ḳhud apne aap koī bhī yahāñ dañgā nahīñ kartā
havāoñ meñ nagar kī is qadar kuchh zahr phailā hai
na gul dete haiñ ḳhushbū peḌ bhī saayā nahīñ kartā
jo likhtā huuñ vo hotā hai faqat taskīn kī ḳhātir
maiñ apnī shā.irī kā shahr meñ saudā nahīñ kartā
mujhe manzūr hai bīmār rahnā umr-bhar yuuñ hī
vo jab tak haath se chhū kar mujhe achchhā nahīñ kartā
chalo maanā ki apnī ahmiyat hai 'shoḳh' daulat kī
zamāne meñ magar har kaam hī paisa nahīñ kartā
labon se aankh se ruKHsar se kya kya nahin karta
wo jadu kaun sa hai jo ki wo chehra nahin karta
main sare kaghazon pe ek misra likh ke rakkhunga
wo jab tak aa ke mere sher ko pura nahin karta
fasadon mein jo shamil hain wo mohre hain siyasat ke
KHud apne aap koi bhi yahan danga nahin karta
hawaon mein nagar ki is qadar kuchh zahr phaila hai
na gul dete hain KHushbu peD bhi saya nahin karta
jo likhta hun wo hota hai faqat taskin ki KHatir
main apni shairi ka shahr mein sauda nahin karta
mujhe manzur hai bimar rahna umr-bhar yun hi
wo jab tak hath se chhu kar mujhe achchha nahin karta
chalo mana ki apni ahmiyat hai 'shoKH' daulat ki
zamane mein magar har kaam hi paisa nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.