labon se aashnai de raha hai
laboñ se āshnā.ī de rahā hai
vo lazzat intihā.ī de rahā hai
mohabbat bhī huī kār-e-mashaqqat
badan thak kar duhā.ī de rahā hai
churātā hai badan mujh se nigāheñ
mujhe dil bhī safā.ī de rahā hai
koī bhar degā apnī qurbatoñ se
koī zaḳhm-e-judā.ī de rahā hai
koī to hai jo itnī sardiyoñ meñ
badan jaisī razā.ī de rahā hai
koī mujh ko 'yashab' apnī razā se
ḳhazānoñ tak rasā.ī de rahā hai
labon se aashnai de raha hai
wo lazzat intihai de raha hai
mohabbat bhi hui kar-e-mashaqqat
badan thak kar duhai de raha hai
churaata hai badan mujh se nigahen
mujhe dil bhi safai de raha hai
koi bhar dega apni qurbaton se
koi zaKHm-e-judai de raha hai
koi to hai jo itni sardiyon mein
badan jaisi razai de raha hai
koi mujh ko 'yashab' apni raza se
KHazanon tak rasai de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.