lachakti shaKH pe jab bhi nai kali aai
lachaktī shāḳh pe jab bhī na.ī kalī aa.ī
udaas phūloñ ko be-sāḳhta hañsī aa.ī
savāl ye nahīñ ahd-e-vafā kiyā us ne
savāl ye hai mohabbat meñ kyoñ kamī aa.ī
hasīn daur javānī kā jab gañvā baiThe
mizāj-e-ishq meñ tab jā ke puḳhtagī aa.ī
hazār tark-e-ta.alluq kiyā hai us ne magar
mire ḳhulūs meñ ab tak na kuchh kamī aa.ī
ġham-e-jahāñ meñ hue mubtalā to ai 'ambar'
hañsī milī na hameñ raas phir ḳhushī aa.ī
lachakti shaKH pe jab bhi nai kali aai
udas phulon ko be-saKHta hansi aai
sawal ye nahin ahd-e-wafa kiya us ne
sawal ye hai mohabbat mein kyon kami aai
hasin daur jawani ka jab ganwa baiThe
mizaj-e-ishq mein tab ja ke puKHtagi aai
hazar tark-e-talluq kiya hai us ne magar
mere KHulus mein ab tak na kuchh kami aai
gham-e-jahan mein hue mubtala to ai 'ambar'
hansi mili na hamein ras phir KHushi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.