laDate hi nazar saqi se chakraata hai sar apna
laDate hi nazar saqi se chakraata hai sar apna
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
laḌāte hī nazar saaqī se chakrātā hai sar apnā
ye vo mai hai ki piite hī dikhātī hai asar apnā
kareñ vo mahfil-e-aġhyār se kyoñ ruḳh idhar apnā
fuġhāñ hai be-asar naala hai māyūs-e-asar apnā
dikhāte haiñ jise vo jalva-e-barq-e-nazar apnā
vo rah jaatā hai hāthoñ se kaleja thaam kar apnā
bhare gul-hā-e-nazzāra se dāmān-e-nazar apnā
muqaddar jaag uThe jalva dikhā.eñ vo agar apnā
kare teġh-e-nigāh-e-nāz lohā tez-tar apnā
lahū meñ Dūbne ko dil bhī hai siina sipar apnā
kaThin rāh-e-adam hai aur apnī shām-e-ġhurbat hai
na koī ham-safar apnā na koī rāhbar apnā
hujūm-e-ārzū meñ ye kahīñ gum ho gayā hogā
mire dil meñ ḳhud aa kar DhūñDh lo tīr-e-nazar apnā
dikhā do rū-e-raushan kī jhalak sadqa javānī kā
tumhāre sāmne phailā hai dāmān-e-nazar apnā
dam-e-āḳhir hai vo bahr-e-‘ayādat aane vaale haiñ
na TuuTe aur dam-bhar rishta-e-tār-e-nazar apnā
rasā.ī dekhiye kab tā-dar-e-maqsūd hotī hai
nahīñ juz zauq-e-sādiq aur koī rāhbar apnā
ye nā-mumkin ki laa.e taab tere rū-e-raushan kī
agar muñh chashma-e-ḳhurshīd meñ dho.e sahar apnā
azal se shāhid-e-husn-e-butāñ kā maiñ pujārī huuñ
nazar aatā hai but-ḳhāna to jhuk jaatā hai sar apnā
laDate hi nazar saqi se chakraata hai sar apna
ye wo mai hai ki pite hi dikhati hai asar apna
karen wo mahfil-e-aghyar se kyon ruKH idhar apna
fughan hai be-asar nala hai mayus-e-asar apna
dikhate hain jise wo jalwa-e-barq-e-nazar apna
wo rah jata hai hathon se kaleja tham kar apna
bhare gul-ha-e-nazzara se daman-e-nazar apna
muqaddar jag uThe jalwa dikhaen wo agar apna
kare tegh-e-nigah-e-naz loha tez-tar apna
lahu mein Dubne ko dil bhi hai sina sipar apna
kaThin rah-e-adam hai aur apni sham-e-ghurbat hai
na koi ham-safar apna na koi rahbar apna
hujum-e-arzu mein ye kahin gum ho gaya hoga
mere dil mein KHud aa kar DhunDh lo tir-e-nazar apna
dikha do ru-e-raushan ki jhalak sadqa jawani ka
tumhaare samne phaila hai daman-e-nazar apna
dam-e-aKHir hai wo bahr-e-‘ayaadat aane wale hain
na TuTe aur dam-bhar rishta-e-tar-e-nazar apna
rasai dekhiye kab ta-dar-e-maqsud hoti hai
nahin juz zauq-e-sadiq aur koi rahbar apna
ye na-mumkin ki lae tab tere ru-e-raushan ki
agar munh chashma-e-KHurshid mein dhoe sahar apna
azal se shahid-e-husn-e-butan ka main pujari hun
nazar aata hai but-KHana to jhuk jata hai sar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.