laDakpan mein kisi ki aashiqi achchhi nahin hoti
laḌakpan meñ kisī kī 'āshiqī achchhī nahīñ hotī
junūn-e-shauq meñ ye ḳhud-kushī achchhī nahīñ hotī
koī hasrat koī armāñ koī chāhat kabhī ḳhvāhish
kabhī hotī hai achchhī aur kabhī achchhī nahīñ hotī
chalo mil baiTh kar shikva-shikāyat duur kar Dāleñ
kabhī har vaqt kī nārāzgī achchhī nahīñ hotī
bulandī ke nashe meñ log andhe ho hī jaate haiñ
zarūrat se ziyāda raushnī achchhī nahīñ hotī
ta'alluq meñ gile shikve yaqīnan ho bhī sakte haiñ
magar har vaqt kī ye be-ruḳhī achchhī nahīñ hotī
laDakpan mein kisi ki 'ashiqi achchhi nahin hoti
junun-e-shauq mein ye KHud-kushi achchhi nahin hoti
koi hasrat koi arman koi chahat kabhi KHwahish
kabhi hoti hai achchhi aur kabhi achchhi nahin hoti
chalo mil baiTh kar shikwa-shikayat dur kar Dalen
kabhi har waqt ki naraazgi achchhi nahin hoti
bulandi ke nashe mein log andhe ho hi jate hain
zarurat se ziyaada raushni achchhi nahin hoti
ta'alluq mein gile shikwe yaqinan ho bhi sakte hain
magar har waqt ki ye be-ruKHi achchhi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.