laDkhaDate hue bhi aur sambhalte hue bhi
laḌkhaḌāte hue bhī aur sambhalte hue bhī
us ke dar par hī ga.e ḳhvāb meñ chalte hue bhī
ishq āsār thī har rāhguzar us kī thī
ham bhaTak sakte na the raah badalte hue bhī
ishq hai ishq ba-har-hāl numū pā.egā
ya.anī jalte hue bhī aur pighalte hue bhī
zindagī tere faqat ek tabassum ke liye
ham ki hañste hī rahe dard meñ Dhalte hue bhī
ek muddat se haiñ ham ishq meñ āvāra ba-kār
ya.anī ik umr huī phūlte-phalte hue bhī
silsila tujh se hī thā tere talab-gāroñ kā
barf hote hue bhī aag meñ jalte hue bhī
bin tire aisā añdherā thā mire andar yaar
Dar lagā ishq ke sūraj ko nikalte hue bhī
laDkhaDate hue bhi aur sambhalte hue bhi
us ke dar par hi gae KHwab mein chalte hue bhi
ishq aasar thi har rahguzar us ki thi
hum bhaTak sakte na the rah badalte hue bhi
ishq hai ishq ba-har-haal numu paega
yani jalte hue bhi aur pighalte hue bhi
zindagi tere faqat ek tabassum ke liye
hum ki hanste hi rahe dard mein Dhalte hue bhi
ek muddat se hain hum ishq mein aawara ba-kar
yani ek umr hui phulte-phalte hue bhi
silsila tujh se hi tha tere talab-garon ka
barf hote hue bhi aag mein jalte hue bhi
bin tere aisa andhera tha mere andar yar
Dar laga ishq ke suraj ko nikalte hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.