lafz chunte hue tartib nai lagti hai
lafz chunte hue tartīb na.ī lagtī hai
dil dukhāne kī ye tarkīb na.ī lagtī hai
merī tahsīñ se kiyā aap ne dānista gurez
kyuuñ qasīde meñ ye tashbīb na.ī lagtī hai
ab haqīqat kī tarah is ko bhī taslīm kareñ
zindagī kī koī tādīb na.ī lagtī hai
kuchh na.e ḳhvāb na.ī ḳhvāhisheñ dāman meñ liye
har na.e saal kī tarġhīb na.ī lagtī hai
un kī bātoñ pe siyāsat kā asar hai goyā
un kī har baat meñ takzīb na.ī lagtī hai
vaqt ke saath badal Daale haiñ ādāb-e-vafā
aap ke ishq kī tahzīb na.ī lagtī hai
lafz chunte hue tartib nai lagti hai
dil dukhane ki ye tarkib nai lagti hai
meri tahsin se kiya aap ne danista gurez
kyun qaside mein ye tashbib nai lagti hai
ab haqiqat ki tarah is ko bhi taslim karen
zindagi ki koi tadib nai lagti hai
kuchh nae KHwab nai KHwahishen daman mein liye
har nae sal ki targhib nai lagti hai
un ki baaton pe siyasat ka asar hai goya
un ki har baat mein takzib nai lagti hai
waqt ke sath badal Dale hain aadab-e-wafa
aap ke ishq ki tahzib nai lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.