lafz-dar-lafz maani pe maani nikle
lafz-dar-lafz ma.ānī pe ma.ānī nikle
saath ash.ār ke kuchh dard-e-nihānī nikle
jo zabāñ tak pe na thā us pe amal kar Daalā
aur va.ade the jo sab un ke zabānī nikle
mere aañsū nazar aa sakte nahīñ duniyā ko
ḳhūn-e-dil ban ke bhī gar aañkh kā paanī nikle
dard yakjā the mire dil ko kiye the raushan
dard mere the jo sab kāh-kashānī nikle
zor-e-girya thā vo dil kā ki nahīñ rok sakī
ashk āñkhoñ se magar bahr-e-ravānī nikle
maiñ bhī ḳhushiyoñ ko chunūñgī sabhī logoñ kī tarah
shāḳh-e-ummīd pe gar raat kī raanī nikle
umr-bhar kī na sazā koī kisī ko de yahāñ
muntazir ban ke kisī kī na javānī nikle
ġham tire aise ki tujh pe hī jachenge 'resham'
tū vo insāñ ki tirā koī na saanī nikle
lafz-dar-lafz maani pe maani nikle
sath ashaar ke kuchh dard-e-nihani nikle
jo zaban tak pe na tha us pe amal kar Dala
aur wade the jo sab un ke zabani nikle
mere aansu nazar aa sakte nahin duniya ko
KHun-e-dil ban ke bhi gar aankh ka pani nikle
dard yakja the mere dil ko kiye the raushan
dard mere the jo sab kah-kashani nikle
zor-e-girya tha wo dil ka ki nahin rok saki
ashk aankhon se magar bahr-e-rawani nikle
main bhi KHushiyon ko chunungi sabhi logon ki tarah
shaKH-e-ummid pe gar raat ki rani nikle
umr-bhar ki na saza koi kisi ko de yahan
muntazir ban ke kisi ki na jawani nikle
gham tere aise ki tujh pe hi jachenge 'resham'
tu wo insan ki tera koi na sani nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.