lafz gunge hain unhen shoala-bayani de de
lafz gūñge haiñ unheñ sho.ala-bayānī de de
misl-e-sarsar mire ḳhāme ko ravānī de de
phir vahī jhuuT kā lashkar hai mire chāroñ taraf
phir mujhe hausla-e-sidq-e-bayānī de de
mere gulshan kī taraf bhej koī abr-e-bahār
hoñT sūkhe haiñ guloñ ke inheñ paanī de de
zindagānī mirī be-kaif huī jaatī hai
koī kirdār nayā koī kahānī de de
merī har shaam huī shām-e-ġharībāñ jaisī
merī qismat meñ to ik shaam suhānī de de
tere bandoñ pe zamīñ saḳht huī jaatī hai
ai ḳhudā in ke liye jā-e-amānī de de
jis ko bachpan na milā ho use bachpan ho atā
qabl-az-vaqt buzurgoñ ko javānī de de
jo tirī zaat ke munkir haiñ mire rabb-e-karīm
apne hone kī unheñ taaza nishānī de de
is ḳharābe meñ kisī tarah nahīñ lagtā dil
phir mujhe hausla-e-naql-e-makānī de de
lafz gunge hain unhen shoala-bayani de de
misl-e-sarsar mere KHame ko rawani de de
phir wahi jhuT ka lashkar hai mere chaaron taraf
phir mujhe hausla-e-sidq-e-bayani de de
mere gulshan ki taraf bhej koi abr-e-bahaar
honT sukhe hain gulon ke inhen pani de de
zindagani meri be-kaif hui jati hai
koi kirdar naya koi kahani de de
meri har sham hui sham-e-ghariban jaisi
meri qismat mein to ek sham suhani de de
tere bandon pe zamin saKHt hui jati hai
ai KHuda in ke liye ja-e-amani de de
jis ko bachpan na mila ho use bachpan ho ata
qabl-az-waqt buzurgon ko jawani de de
jo teri zat ke munkir hain mere rabb-e-karim
apne hone ki unhen taza nishani de de
is KHarabe mein kisi tarah nahin lagta dil
phir mujhe hausla-e-naql-e-makani de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.