lafz ho pai nahin phir bhi maani mein hun main
lafz ho paa.ī nahīñ phir bhī ma.ānī meñ huuñ maiñ
ya.anī kirdār nahīñ aur kahānī meñ huuñ maiñ
merī pahchān havāloñ hī se dī jaatī hai
sīdhā ik naam nahīñ hotā hai ya.anī meñ huuñ maiñ
mauj dariyā kī tumheñ saath liye chaltī hai
aur udhar jhiil ke Thahre hue paanī meñ huuñ maiñ
manzileñ gum haiñ qadam Thahre hue haiñ phir bhī
zindagī ko ye gumāñ hai kī ravānī meñ huuñ maiñ
vo hai jañgal to mujhe DhūñDho parindoñ meñ 'sabā'
vo hai dariyā to samajh jaao ki paanī meñ huuñ maiñ
lafz ho pai nahin phir bhi maani mein hun main
yani kirdar nahin aur kahani mein hun main
meri pahchan hawalon hi se di jati hai
sidha ek nam nahin hota hai yani mein hun main
mauj dariya ki tumhein sath liye chalti hai
aur udhar jhil ke Thahre hue pani mein hun main
manzilen gum hain qadam Thahre hue hain phir bhi
zindagi ko ye guman hai ki rawani mein hun main
wo hai jangal to mujhe DhunDho parindon mein 'saba'
wo hai dariya to samajh jao ki pani mein hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.