lafz mein taswir mein patthar mein qaid
lafz meñ tasvīr meñ patthar meñ qaid
sab ne us ko kar diyā manzar meñ qaid
dil to bechāra yuuñ hī badnām hai
jo bhī hai vo sab kā sab hai sar meñ qaid
sirf achchhā honā hī sab kuchh nahīñ
qadr hai insān kī ab zar meñ qaid
aaj kā din shar-pasandoñ kā hai phir
shahr saarā ho gayā hai ghar meñ qaid
āsmāñ kī vus.ateñ karvā mujhe
aur kab tak maiñ rahūñ paikar maiñ qaid
mere sheroñ meñ bhī haiñ tah-dāriyāñ
jaise ḳhushbū rahtī hai ambar meñ qaid
lafz mein taswir mein patthar mein qaid
sab ne us ko kar diya manzar mein qaid
dil to bechaara yun hi badnam hai
jo bhi hai wo sab ka sab hai sar mein qaid
sirf achchha hona hi sab kuchh nahin
qadr hai insan ki ab zar mein qaid
aaj ka din shar-pasandon ka hai phir
shahr sara ho gaya hai ghar mein qaid
aasman ki wusaten karwa mujhe
aur kab tak main rahun paikar main qaid
mere sheron mein bhi hain tah-dariyan
jaise KHushbu rahti hai ambar mein qaid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.