lafz mil jaen to ash’ar ki tashkil karun
lafz mil jaa.eñ to ash’ār kī tashkīl karūñ
varna kis tarah ḳhayālāt kī tarsīl karūñ
haq mohabbat kā kahāñ hotā hai marne se adā
haq to ye hai ki tujhe ruuh meñ tahlīl karūñ
aap to apnī anā se nahīñ nikle bāhar
mujh se kahte haiñ ki maiñ nazriya tabdīl karūñ
tishnagī to hai mirī zaat meñ sahrā kī tarah
kaise sūkhī huī āñkhoñ ko bhalā jhiil karūñ
jab anā hai mirī rag rag meñ sarāyat 'ambar'
kis tarah us ke har ik hukm kī ta.amīl karūñ
lafz mil jaen to ash’ar ki tashkil karun
warna kis tarah KHayalat ki tarsil karun
haq mohabbat ka kahan hota hai marne se ada
haq to ye hai ki tujhe ruh mein tahlil karun
aap to apni ana se nahin nikle bahar
mujh se kahte hain ki main nazriya tabdil karun
tishnagi to hai meri zat mein sahra ki tarah
kaise sukhi hui aankhon ko bhala jhil karun
jab ana hai meri rag rag mein sarayat 'ambar'
kis tarah us ke har ek hukm ki tamil karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.