lafz nikla zaban se bahar
lafz niklā zabān se bāhar
tiir jaise kamān se bāhar
mere vahm-o-gumān se bāhar
terī azmat bayān se bāhar
saarī duniyā usī meñ rahtī thī
maiñ rahā jis makān se bāhar
sab ko manzūr kis tarah hotā
faisla thā gumān se bāhar
zehn-o-dil par hukūmateñ jis kī
ho gayā kaise dhyān se bāhar
rāste muntazir haiñ barsoñ se
aa.e koī makān se bāhar
sab se pahle vahī bike haiñ 'nisār'
jo paḌe the dukān se bāhar
lafz nikla zaban se bahar
tir jaise kaman se bahar
mere wahm-o-guman se bahar
teri azmat bayan se bahar
sari duniya usi mein rahti thi
main raha jis makan se bahar
sab ko manzur kis tarah hota
faisla tha guman se bahar
zehn-o-dil par hukumaten jis ki
ho gaya kaise dhyan se bahar
raste muntazir hain barson se
aae koi makan se bahar
sab se pahle wahi bike hain 'nisar'
jo paDe the dukan se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.