lafz-o-mani ki ye sab jhuTi numaish chhoD de
lafz-o-ma.anī kī ye sab jhūTī numā.ish chhoḌ de
yuuñ hama-dānī kī nādāñ apnī ḳhvāhish chhoḌ de
zad pe aa jā.egā terā aa.ina bhī yaad rakh
ā.inoñ pe sang barsāne kī koshish chhoḌ de
aag jab bhaḌkegī koī ghar na bach pā.egā phir
dūsroñ kā ghar jalāne kī ye sāzish chhoḌ de
ban na jaa.e vaj.h-e-rusvā.ī ye terī ek din
apne muñh se apnī hī karnā satā.ish chhoḌ de
koī dīvār-e-anā qaa.em rahe kyoñ darmiyāñ
jo diloñ ko duur kar de aisī ranjish chhoḌ de
jo sarāyat kar gayā 'betāb' rag rag meñ tirī
us kī yādoñ ko bhulāne kī ye kāvish chhoḌ de
lafz-o-mani ki ye sab jhuTi numaish chhoD de
yun hama-dani ki nadan apni KHwahish chhoD de
zad pe aa jaega tera aaina bhi yaad rakh
aainon pe sang barsane ki koshish chhoD de
aag jab bhaDkegi koi ghar na bach paega phir
dusron ka ghar jalane ki ye sazish chhoD de
ban na jae wajh-e-ruswai ye teri ek din
apne munh se apni hi karna sataish chhoD de
koi diwar-e-ana qaem rahe kyon darmiyan
jo dilon ko dur kar de aisi ranjish chhoD de
jo sarayat kar gaya 'betab' rag rag mein teri
us ki yaadon ko bhulane ki ye kawish chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.