lafz phisla tere honTon se hawa mein utra
lafz phislā tire hoñToñ se havā meñ utrā
merā ilhām thā jo terī sadā meñ utrā
nek bandoñ ke liye der thī bas rone meñ
phir to jo maiñ ne kahā un kī razā meñ utrā
sīḌhiyoñ se the jo vāqif vahī ghar tak pahuñche
maiñ to vo shaḳhs thā jo sīdhā havā meñ utrā
ḳhush thā jab ghar meñ vo mehmāñ kī tarah baiThā thā
ek dīvār jo phāñdī to ḳhalā meñ utrā
muḳhtasar kitnā thā us nanhe parinde kā safar
surma.ī aañkh se jo dast-e-duā meñ utrā
tū bhī be-ghar huā aur aur maiñ ne bhī duniyā chhoḌī
kaun sā zahr hamāre kaf-e-pā meñ utrā
'zāhid' is baar to bārish ne rulāyā itnā
dard kā indr-dhanush ġham ke ḳhalā meñ utrā
lafz phisla tere honTon se hawa mein utra
mera ilham tha jo teri sada mein utra
nek bandon ke liye der thi bas rone mein
phir to jo main ne kaha un ki raza mein utra
siDhiyon se the jo waqif wahi ghar tak pahunche
main to wo shaKHs tha jo sidha hawa mein utra
KHush tha jab ghar mein wo mehman ki tarah baiTha tha
ek diwar jo phandi to KHala mein utra
muKHtasar kitna tha us nanhe parinde ka safar
surmai aankh se jo dast-e-dua mein utra
tu bhi be-ghar hua aur aur main ne bhi duniya chhoDi
kaun sa zahr hamare kaf-e-pa mein utra
'zahid' is bar to barish ne rulaya itna
dard ka indr-dhanush gham ke KHala mein utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.