lafz se jab na uTha bar-e-KHayal
lafz se jab na uThā bār-e-ḳhayāl
kaise kaise kiyā iz.hār-e-ḳhayāl
dil meñ jab dard kī qindīl jalī
tamtamāne lage ruḳhsār-e-ḳhayāl
ruuh ke zaḳhm na murjhā.eñ kabhī
tā-abad mahke chaman-zār-e-ḳhayāl
ġham pe mauqūf hai tāsīr-e-bayāñ
ġham se hai raunaq-e-bāzār-e-ḳhayāl
rākib-e-fahm hai be-bas 'tā.ib'
aur muñh-zor hai rahvār-e-ḳhayāl
lafz se jab na uTha bar-e-KHayal
kaise kaise kiya izhaar-e-KHayal
dil mein jab dard ki qindil jali
tamtamane lage ruKHsar-e-KHayal
ruh ke zaKHm na murjhaen kabhi
ta-abad mahke chaman-zar-e-KHayal
gham pe mauquf hai tasir-e-bayan
gham se hai raunaq-e-bazar-e-KHayal
rakib-e-fahm hai be-bas 'taib'
aur munh-zor hai rahwar-e-KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.