lafz un ke hain kah rahe hain hum
lafz un ke haiñ kah rahe haiñ ham
un kī duniyā meñ rah rahe haiñ ham
zāviya tak nayā nahīñ hotā
aur ash'ār kah rahe haiñ ham
ham se mehnat sahī nahīñ jaatī
nā-tavānī ko sah rahe haiñ ham
chāñd se das gunā jo behtar hai
us ko bhī chāñd kah rahe haiñ ham
ham na puure hue na hoñge kabhī
aur adhūre bhī Dhah rahe haiñ ham
sirf aur sirf jis ko ḳhatra hai
us qabīle meñ rah rahe haiñ ham
koī jazbāt meñ bahe 'āsif'
us ke ashkoñ meñ bah rahe haiñ ham
lafz un ke hain kah rahe hain hum
un ki duniya mein rah rahe hain hum
zawiya tak naya nahin hota
aur ash'ar kah rahe hain hum
hum se mehnat sahi nahin jati
na-tawani ko sah rahe hain hum
chand se das guna jo behtar hai
us ko bhi chand kah rahe hain hum
hum na pure hue na honge kabhi
aur adhure bhi Dhah rahe hain hum
sirf aur sirf jis ko KHatra hai
us qabile mein rah rahe hain hum
koi jazbaat mein bahe 'asif'
us ke ashkon mein bah rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.