lafzon ka ambar lagaya
lafzoñ kā ambār lagāyā
lekin baat nahīñ kah paayā
mujh ko to is baat kā dukh hai
us ne bhī mujh ko samjhāyā
aur ham se kyā uTh saktā thā
ham ne nukta ek uThāyā
tūfāñ aa.e bārish aa.ī
dariyā bhī mere ghar aayā
'maz.har' us kī niiñd uḌā dī
ham ne jis ko ḳhvāb dikhāyā
lafzon ka ambar lagaya
lekin baat nahin kah paya
mujh ko to is baat ka dukh hai
us ne bhi mujh ko samjhaya
aur hum se kya uTh sakta tha
hum ne nukta ek uThaya
tufan aae barish aai
dariya bhi mere ghar aaya
'mazhar' us ki nind uDa di
hum ne jis ko KHwab dikhaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.