lafzon ka saeban bana lene dijiye
lafzoñ kā sā.ebān banā lene dījiye
sāyoñ ko tāq-e-dil meñ sajā lene dījiye
gahre samundaroñ kī taheñ mat khañgāliye
dil ko khulī havā kā mazā lene dījiye
sochegā zehan saare masā.il ke hal magar
pahle badan kī aag bujhā lene dījiye
kab tak misāl-e-dasht saheñ mausamoñ kā jabr
ḳhvāboñ kā koī shahr basā lene dījiye
yādoñ ke khet suukh chale ab to 'ja.afarī'
taaza ġhamoñ kī fasl ugā lene dījiye
lafzon ka saeban bana lene dijiye
sayon ko taq-e-dil mein saja lene dijiye
gahre samundaron ki tahen mat khangaliye
dil ko khuli hawa ka maza lene dijiye
sochega zehan sare masail ke hal magar
pahle badan ki aag bujha lene dijiye
kab tak misal-e-dasht sahen mausamon ka jabr
KHwabon ka koi shahr basa lene dijiye
yaadon ke khet sukh chale ab to 'jafari'
taza ghamon ki fasl uga lene dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.