lafzon ke baratne mein bahut sirf hua main
lafzoñ ke baratne meñ bahut sirf huā maiñ
ik misr taaza bhī magar kah na sakā maiñ
ik dast-e-rifāqat kī talab le ke baḌhā meñ
amboh trahdār meñ ik shor uThā maiñ
aa tujh ko taqābul meñ ulajhne se bachā luuñ
sab kuchh hai tirī zaat meñ baaqī jo bachā maiñ
maiñ aur kahāñ ḳhud-nagrī yaad hai tujh ko
jab tū ne mirā naam liyā maiñ ne kahā meñ
maiñ ek bagūla sā uThā dasht-e-junūñ se
rokā mujhe duniyā ne bahut par na rukā maiñ
yā mujh se guzārī na ga.ī umr-e-gurezāñ
yā umr-e-gurezāñ se guzārā na gayā meñ
mālūm huā mujh meñ koī ramz nahīñ hai
ik umr-e-riyāzat se guzarne pe khulā maiñ
jo raat basar kī thī mire hijr meñ tū ne
us raat bahut der tire saath rahā maiñ
lafzon ke baratne mein bahut sirf hua main
ek misr taza bhi magar kah na saka main
ek dast-e-rifaqat ki talab le ke baDha mein
amboh trahdar mein ek shor uTha main
aa tujh ko taqabul mein ulajhne se bacha lun
sab kuchh hai teri zat mein baqi jo bacha main
main aur kahan KHud-nagri yaad hai tujh ko
jab tu ne mera nam liya main ne kaha mein
main ek bagula sa uTha dasht-e-junun se
roka mujhe duniya ne bahut par na ruka main
ya mujh se guzari na gai umr-e-gurezan
ya umr-e-gurezan se guzara na gaya mein
malum hua mujh mein koi ramz nahin hai
ek umr-e-riyazat se guzarne pe khula main
jo raat basar ki thi mere hijr mein tu ne
us raat bahut der tere sath raha main
- Book : Takrar-e-saa.at (Pg. 64)
- Author : Irfan Sattar
- Publication : Dehleez Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.