lafzoñ ke but TuuT chuke haiñ
korā kāġhaz paḌā huā hai
gidh ne kab zindoñ ko nochā
sher ne kab murdoñ ko chhuā hai
apnī apnī biin sambhālo
sunā hai shahr meñ naag aayā hai
gūñge bol rahe haiñ patthar
sannāTā reza reza hai
ghar kā kuaañ bhī be-masraf sā
sāgar meñ tezāb bharā hai
sauñp ga.ī hai ḳhud ko mujhe vo
harā bharā din āvāra hai
naddī meñ jī bhar ke nahā.eñ
kuaañ badan se bhar jaatā hai
lafzon ke but TuT chuke hain
kora kaghaz paDa hua hai
gidh ne kab zindon ko nocha
sher ne kab murdon ko chhua hai
apni apni bin sambhaalo
suna hai shahr mein nag aaya hai
gunge bol rahe hain patthar
sannaTa reza reza hai
ghar ka kuan bhi be-masraf sa
sagar mein tezab bhara hai
saunp gai hai KHud ko mujhe wo
hara bhara din aawara hai
naddi mein ji bhar ke nahaen
kuan badan se bhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.